Aa ke wabasta hae us husn ki yaadein tujh se
Jis ne is dil ko pari-khana bana rakha tha
Jis ki ulfat mein bhula rakhi thi humne duniya
Dehar ko dehar ka afsana bana rakha tha
Aashna hae tere qadmon se wo rahein jin par
Uski madhosh jawani ne inayat ki hae
Kaarvaan quzre haen jin se usee ra'naaee ke
Jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hae
Tujhse kheli hae wo mehboob hawayn jin mein
Uske malboos ki afsurda mahek baqi hae
Tujh pe barsa hae uss baam se mehtaab ka noor
Jis mein beeti huwee raaton ki kasak baqi hae
Tune dekhi hae wo peshani ,wo rukhsaar wo hont
Zindagi jis ke tasavvur mei luuta di humne?
Tujh pe uthee haen wo khoyee huwi saahir aankhein
Tujhko maloom hae kyun umr gan'wa di hum ne
Hum pe mushtarka haen ehsaan gham-e-ulfat ke
Itne ehsaan ke ginwaun to ginwa na sakun
Humne is ishq mei kya khoya hae kya seekha hae
Juz tere, aur ko samjhaun toh samjha na sakuun...
Word Meanings..
Raqeeb - Competitor in love
Wabasta - Connected, Related
Dehar - World
Aashna - Aquainted
Raanai - Beauty
Besood - Useless, Worthless
Malboos - Clothes
Afsurda - Sad
Mahtaab - Moon
Peshani - Forehead
Rukhsaar - Cheeks
Tasavvur - Imagination
Sahir - Magician
Juz - Other than
5 comments:
Was listening to this ghazal on Youtube http://www.youtube.com/watch?v=VDCxSq78qMw
Was looking for the lyrics. Thanks. Your post made it easier to understand. :)
Post a Comment